Ek Infial Ko Taqat Samajh Rahe Ho Tum

ek infial ko taqat samajh rahe ho tum

sawal ye hai ki kis tarah sochte ho tum

bahaar aag na degi tumhaare chulhon ko

ye aur baat ki is se bahal gae ho tum

dayar-e-waham-o-guman mein na ab haram hai na dair

ujDi chuki hai wo basti jidhar chale ho tum

diya na ishq ne jab kuchh to aql kya degi

ab is se mangte ho chain bawle ho tum

jabin-e-shauq ko apni kahan jhukana tha

kahan jhuki hai zarurat kahan jhuke ho tum

pasand aaegi kyun apne des ki koi chiz

bidesiyon ke niwale pe ji rahe ho tum

na mil saka jise indhan jalegi aag wo kya

dil-e-'jamil' ko nahaq kuredte ho tum

(782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Infial Ko Taqat Samajh Rahe Ho Tum In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Ek Infial Ko Taqat Samajh Rahe Ho Tum is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Ek Infial Ko Taqat Samajh Rahe Ho Tum for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Ek Infial Ko Taqat Samajh Rahe Ho Tum in PDF.