Dariya Ka ChaDhaw Dekhta Hun

dariya ka chaDhaw dekhta hun

tinkon ka bahaw dekhta hun

tum dekho bulandi aasman ki

main us ka jhukaw dekhta hun

kal pesh-e-nazar thi tegh-e-abru

ab sine ka ghaw dekhta hun

wo aaen na aaen kaun jaane

aai hui naw dekhta hun

santa hun karah lakDiyon ki

jalte hain alaw dekhta hun

aasan nahin hai dil ki chori

tum aankh churao dekhta hun

manjdhaar mein hogi koi kashti

sahil pe jamaw dekhta hun

tum aag mein meri jal rahi ho

main dur se tao dekhta hun

apne ko 'jamil' bechna hai

bazar ka bhaw dekhta hun

(735) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dariya Ka ChaDhaw Dekhta Hun In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Dariya Ka ChaDhaw Dekhta Hun is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Dariya Ka ChaDhaw Dekhta Hun for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Dariya Ka ChaDhaw Dekhta Hun in PDF.