Jis Samt Nazar Jae Mela Nazar Aata Hai

jis samt nazar jae mela nazar aata hai

har aadmi is par bhi tanha nazar aata hai

sauda-e-dil-o-din ya sauda-e-dil-o-duniya

aashiq ko to donon mein ghaTa nazar aata hai

andhon ko tere ai husn ab mil gai binai

ab ishq ka har jazba nanga nazar aata hai

pasti se agar dekho nicha bhi hai kuchh uncha

uncha bhi bulandi se nicha nazar aata hai

kya shikwa taqqul ke KHamosh tahayyur se

jab apna tasawwur bhi gunga nazar aata hai

ai naz-e-KHud-arai de zarf ko pahnai

ghuTta hua qatre mein dariya nazar aata hai

rahmat bhi teri shayad kuchh kan ki unchi hai

insaf bhi tera kuchh andha nazar aata hai

nalan hain 'jamil' apni aankhon se ki ab un ko

suraj ka pujari bhi andha nazar aata hai

(918) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Samt Nazar Jae Mela Nazar Aata Hai In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Jis Samt Nazar Jae Mela Nazar Aata Hai is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Jis Samt Nazar Jae Mela Nazar Aata Hai for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Jis Samt Nazar Jae Mela Nazar Aata Hai in PDF.