Jo Tum Ho Do Qadam Aage To Hum Hain Do Qadam Pichhe

jo tum ho do qadam aage to hum hain do qadam pichhe

ye farq-e-do-qadam kya hai na tum aage na hum pichhe

sanam us ke jamali hain sanam us ke KHayali hain

KHuda-sazi tha shughl-e-dair rahta kyun haram pichhe

ye kya insaf hai aadil baDhaya tishnagi pahle

diya teri adalat ne shuur-e-shahad-o-sam pichhe

ye hai tariKH ka darbar kuchh darwesh baiThe hain

khaDe hain qaisar o faghfur o dara-e-ajam pichhe

bulandi shiddat-e-parwaz se banti gai yani

nazar aage thi aur har fasla tha besh o kam pichhe

yahan bhi kar ke ek sajda wahan bhi kar ke ek sajda

musafir baDh gaya chiKHa kiye dair o haram pichhe

gale us se bhi kaTte hain gale is se bhi kaTte hain

rahe kyun 'mazhari' talwar se apna qalam pichhe

(886) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Tum Ho Do Qadam Aage To Hum Hain Do Qadam Pichhe In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Jo Tum Ho Do Qadam Aage To Hum Hain Do Qadam Pichhe is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Jo Tum Ho Do Qadam Aage To Hum Hain Do Qadam Pichhe for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Jo Tum Ho Do Qadam Aage To Hum Hain Do Qadam Pichhe in PDF.