Kab Tak Nibahen Aise Ghalat Aadmi Se Hum

kab tak nibahen aise ghalat aadmi se hum

duniya hai 'mazhari' se KHafa 'mazhari' se hum

bhage zarur arsa-e-tang-e-KHudi se hum

nikle magar na daira-e-agahi se hum

is zindagi ne aap se rakkha hai mujh ko dur

kis tarah intiqam na len zindagi se hum

har jama-e-sifat mein kyun kar na jhol ho

hai ye ki napte hain KHuda ko KHudi se hum

tulte hain jis taraazu mein sim-o-zar o guhar

kya zulm hai dilon ko bhi taulen usi se hum

sairabiyan 'jamil' ko itna na de sakin

jitna ki faizyab hue tishnagi se hum

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Tak Nibahen Aise Ghalat Aadmi Se Hum In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Kab Tak Nibahen Aise Ghalat Aadmi Se Hum is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Kab Tak Nibahen Aise Ghalat Aadmi Se Hum for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Kab Tak Nibahen Aise Ghalat Aadmi Se Hum in PDF.