Kaun Kahta Hai BaDha Shauq Idhar Se Pahle

kaun kahta hai baDha shauq idhar se pahle

kis ne dekha tha kise tirchhi nazar se pahle

mutmain ho le zara ahl-e-nazar se pahle

parde aankhon ke uTha parda-e-dar se pahle

abhi talim-e-wafa yani jafa ka nahin waqt

tarbiyat shauq ki ho lutf-e-nazar se pahle

han mohabbat mein maza hai mujhe inkar nahin

magar ai zauq-e-KHalish dard-e-jigar se pahle

salik-e-rah-e-wafa hai dil-e-ashufta-mizaj

muzhda-e-gumrahi-e-shauq-e-safar se pahle

jurat-e-arz-e-tamanna pe KHafa ho lena

muskurao to zara nichi nazar se pahle

mausam-e-kaif mein be-kaifi-e-jazbaat na puchh

dil-e-bulbul hai fasurda gul-e-tar se pahle

jumbish-e-muztarib-e-parda-e-ismat ki qasam

jalwe betab hue zauq-e-nazar se pahle

jin se badnam hue ishq ke jazbaat-e-latif

wo ishaare the idhar se ki udhar se pahle

do iradon mein jo hail the haya ke parde

kis ne sarkae ishaaraat-e-nazar se pahle

kyun koi pahlu-e-jaanan mein jagah pae 'jamil'

aaj hum bazm mein pahunchenge qamar se pahle

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Kahta Hai BaDha Shauq Idhar Se Pahle In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Kaun Kahta Hai BaDha Shauq Idhar Se Pahle is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Kaun Kahta Hai BaDha Shauq Idhar Se Pahle for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Kaun Kahta Hai BaDha Shauq Idhar Se Pahle in PDF.