KHilaf-e-rasm-e-taghazzul Ghazal-sara Hun Main

KHilaf-e-rasm-e-taghazzul ghazal-sara hun main

rubab-e-waqt ki bigDi hui sada hun main

fazaen den na jagah meri be-qarari ko

hawaen mujh ko sula den ki jagta hun main

jaras hun main mera nala meri tabiat hai

ye kyun kahun ki kisi ko pukarta hun main

gira to hun magar ai chashm-e-e'tibar ye dekh

ki kis bulandi-e-mear se gira hun main

meri fughan se shikayat hai sone walon ko

mera gunah yahi hai ki jagta hun main

'jamil' KHunki-e-marham ka main nahin qael

jarahaton ko namak-dan dikha raha hun main

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHilaf-e-rasm-e-taghazzul Ghazal-sara Hun Main In English By Famous Poet Jameel Mazhari. KHilaf-e-rasm-e-taghazzul Ghazal-sara Hun Main is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem KHilaf-e-rasm-e-taghazzul Ghazal-sara Hun Main for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download KHilaf-e-rasm-e-taghazzul Ghazal-sara Hun Main in PDF.