Kisi Ka KHun Sahi Ek Nikhaar De To Diya

kisi ka KHun sahi ek nikhaar de to diya

KHizan ko tum ne libas-e-bahaar de to diya

mere shuur ko kaliyan ab aur kya detin

tasawwur-e-lab-e-rangin-e-yar de to diya

ab aur KHizr se kya chahti hai pyas meri

sarab-e-rahmat-e-parwar-digar de to diya

agarche jabr hai ye bhi magar ghanimat jaan

ki ek jazba-e-be-iKHtiyar de to diya

ye aur baat ki daman ko phul de na saki

magar bahaar ne talwon ko KHar de to diya

bahaar aae na aae magar lahu ne mere

chaman ki KHak ko ek e'tibar de to diya

ummiden chhin lin us ne to phir gila kya hai

qarar mang rahe the qarar de to diya

kare KHuda se gila kyun kisi ki majburi

kisi ke dil pe sahi iKHtiyar de to diya

'jamil' us aatish-e-ruKH ko hawa na do itni

ab aur chahiye kya ek sharar de to diya

(1239) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ka KHun Sahi Ek Nikhaar De To Diya In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Kisi Ka KHun Sahi Ek Nikhaar De To Diya is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Kisi Ka KHun Sahi Ek Nikhaar De To Diya for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Kisi Ka KHun Sahi Ek Nikhaar De To Diya in PDF.