Koi Sawal-e-KHuda-o-sanam Nahin Ai Dost

koi sawal-e-KHuda-o-sanam nahin ai dost

main kya karun meri gardan mein KHam nahin ai dost

hamein yahi hai munasib ki ek su ho len

jagah miyan-e-wajud-o-adam nahin ai dost

KHushamadon se nikalta nahin hai kaam yahan

moamla hai KHuda se sanam nahin ai dost

agarche sard andhere hain bais-e-taklif

magar ye garm ujale bhi kam nahin ai dost

ajab mizaj hai in mai-kada nashinon ka

ki qadr-e-jam to hai qadr-e-jam nahin ai dost

khula hai aur khulega 'jamil' sab ke liye

ye mai-kada hai kunisht-o-haram nahin ai dost

(872) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Sawal-e-KHuda-o-sanam Nahin Ai Dost In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Koi Sawal-e-KHuda-o-sanam Nahin Ai Dost is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Koi Sawal-e-KHuda-o-sanam Nahin Ai Dost for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Koi Sawal-e-KHuda-o-sanam Nahin Ai Dost in PDF.