Kuchh Bhi Nahin Hai Aalam-e-zarraat Se Aage

kuchh bhi nahin hai aalam-e-zarraat se aage

ek aalam-e-hu aalam-e-aswat se aage

milte hain smawat smawat se aage

har gam hijabaat hijabaat se aage

is dahr mein hum KHud bhi hain minjumala KHurafat

kis tarah nazar jae KHurafat se aage

ai raat ke maro tumhein kis tarah bujhaun

ek subh bhi ek din bhi hai is raat se aage

insan hain magar bich ki manzil mein khaDe hain

haiwan se pichhe hain jamadat se aage

jo kuchh hai yahan wo hai KHarabaat ke andar

kuchh bhi nahin ai rind KHarabaat se aage

kya sochte ho zehn mein wo aa nahin sakta

kya sochte ho hai wo KHayalat se aage

hone ko wo jaisa bhi ho hum hain to wo hoga

KHamoshi hi KHamoshi hai is baat se aage

samjhenge wahi zehn 'jamil' apne suKHan ko

jati hai nazar jin ki tabiat se aage

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Bhi Nahin Hai Aalam-e-zarraat Se Aage In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Kuchh Bhi Nahin Hai Aalam-e-zarraat Se Aage is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Kuchh Bhi Nahin Hai Aalam-e-zarraat Se Aage for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Kuchh Bhi Nahin Hai Aalam-e-zarraat Se Aage in PDF.