Main Kya Bataun Ki Tu Kya Hai Aur Kya Hun Main

main kya bataun ki tu kya hai aur kya hun main

hujum-e-lafz-o-maani mein kho gaya hun main

pinha de koi mohabbat ki ek kaDi zanjir

ki qaid-e-farz se bahar nikal gaya hun main

sawab ko nai shaklen jo de raha hai tu

gunah ke nae sanche bana raha hun main

junun mera KHirad-asuda-e-nataej hai

KHud apne panw ki zanjir Dhaalta hun main

meri nazar mein tajalli ki kya haqiqat hai

tajalliyon ki haqiqat ko dekhta hun main

gira chuka tha jise kal nazar se apni 'jamil'

ghurur ab usi pasti pe kar raha hun main

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Kya Bataun Ki Tu Kya Hai Aur Kya Hun Main In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Main Kya Bataun Ki Tu Kya Hai Aur Kya Hun Main is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Main Kya Bataun Ki Tu Kya Hai Aur Kya Hun Main for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Main Kya Bataun Ki Tu Kya Hai Aur Kya Hun Main in PDF.