Parda Hail Jo Tha Kahan Hai Ab

parda hail jo tha kahan hai ab

tera jalwa hi darmiyan hai ab

shama kahti rahi jise shab bhar

KHatme par wo dastan hai ab

meri nazron ki ek thakan ke siwa

aur kya chiz aasman hai ab

sabr ka mere imtihan to hua

teri rahmat ka imtihan hai ab

tu bhi meri tarah na ho nakaam

fikr ye rab-e-do-jahan hai ab

kaamyabi ke gur batane lagi

ishq par aql mehrban hai ab

'mazhari' pesh-e-karwan tha kabhi

'mazhari' gard-e-karwan hai ab

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parda Hail Jo Tha Kahan Hai Ab In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Parda Hail Jo Tha Kahan Hai Ab is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Parda Hail Jo Tha Kahan Hai Ab for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Parda Hail Jo Tha Kahan Hai Ab in PDF.