Uljhi Thi Zulf Usne Sanwara Sanwar Gai

uljhi thi zulf us ne sanwara sanwar gai

shane ko kya KHabar ye bala kis ke sar gai

aaine bhi banae to dekha na apna munh

ab tak na KHadd-o-KHal pe apne nazar gai

yun to rawaq-e-daulat-o-din bhi the saya-dar

lekin thakan gharib ki su-e-shajar gai

ahl-e-nazar na mujh pe hansen meri ye nazar

kuchh to barun-e-halqa-e-hadd-e-nazar gai

raste mein kya dhara tha ki rukti kahin nigah

dekha tumhein to umr-e-gurezan Thahar gai

unchi hui fughan to gai aasman ke par

utra jo arsh se to dilon mein utar gai

manzil to apni hadd-e-nazar hi pe thi 'jamil'

pahunche wahan to aur kuchh aage nazar gai

(859) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uljhi Thi Zulf Usne Sanwara Sanwar Gai In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Uljhi Thi Zulf Usne Sanwara Sanwar Gai is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Uljhi Thi Zulf Usne Sanwara Sanwar Gai for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Uljhi Thi Zulf Usne Sanwara Sanwar Gai in PDF.