Tu Ne Sine Ko Jab Tak KHalish Di Na Thi Tu Ne Jazbon Ko Jab Tak Ubhaara Na Tha

tu ne sine ko jab tak KHalish di na thi tu ne jazbon ko jab tak ubhaara na tha

main wo dariya tha jis mein ki lahren na thin main wo qulzum tha jis mein ki dhaara na tha

tere aage na yaran-e-KHud-sar jhuke teri chaukhaT se bhage to dar dar jhuke

us jagah dil jhuke us jagah sar jhuke bandagi ke siwa koi chaara na tha

ashk moti na the bah gae bah gae hanste hanste ye tum aaj kya kah gae

yaad kar ke wo din hum bhi chup rah gae jab in aankhon mein aansu gawara na tha

saz fariyaad ke dil ne chheDe na the hijr aur wasl ke ye bakheDe na the

hum ne daman ke baKHiye udheDe na the tum ne zulfon ko apni sanwara na tha

tujh mein dariya koi kis sahaare chale main jo pachchhim to purab ko dhaare chale

meri kashti kinare kinare chale teri maujon ko ye bhi gawara na tha

dekh parwanon ke raqs-e-betab ko shama aane na de aankh mein KHwab ko

ek jhapki si aai thi mahtab ko aankh kholi to koi sitara na tha

ek tannur se shoale uTTha kiye aag jalti rahi log tapa kiye

dur baiThe wo pahlu bachaya kiye jin ki qismat mein koi sharara na tha

donon afsana-KHwan gird mahmil ke the qais sahra ka tha KHizr manzil ke the

'mazhari' bhi ghulam apne hi dil ke the in diwanon mein koi tumhaara na tha

(910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Ne Sine Ko Jab Tak KHalish Di Na Thi Tu Ne Jazbon Ko Jab Tak Ubhaara Na Tha In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Tu Ne Sine Ko Jab Tak KHalish Di Na Thi Tu Ne Jazbon Ko Jab Tak Ubhaara Na Tha is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Tu Ne Sine Ko Jab Tak KHalish Di Na Thi Tu Ne Jazbon Ko Jab Tak Ubhaara Na Tha for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Tu Ne Sine Ko Jab Tak KHalish Di Na Thi Tu Ne Jazbon Ko Jab Tak Ubhaara Na Tha in PDF.