Thi Abhi Subh Abhi Sham Hui Jati Hai

thi abhi subh abhi sham hui jati hai

zindagi gardish-e-ayyam hui jati hai

zindagi mohlat-e-taufiq-e-KHum-ashami thi

zindagi fursat-e-yak-jam hui jati hai

zindagi tair-e-sahra thi ba-shauq-e-parwaz

zindagi said-e-tah-e-dam hui jati hai

zindagi Dal rahi thi jo sitaron pe kamand

ab tamasha-e-lab-e-baam hui jati hai

zindagi ye hai ki ba-in-hama-sauda-e-safar

zindagi hasrat-e-yak-gam hui jati hai

zindagi ye hai ki jis ret pe jalte the qadam

ab wahi bistar-e-aram hui jati hai

zindagi ye hai ki soya tha musafir thak kar

so ke uTTha hai to ab sham hui jati hai

'mazhari' fan ka taqaza hai ki likhiye kuchh aur

ye ghazal koshish-e-nakaam hui jati hai

(1142) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thi Abhi Subh Abhi Sham Hui Jati Hai In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Thi Abhi Subh Abhi Sham Hui Jati Hai is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Thi Abhi Subh Abhi Sham Hui Jati Hai for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Thi Abhi Subh Abhi Sham Hui Jati Hai in PDF.