Tera Husn Bhi Bahana Mera Ishq Bhi Bahana

tera husn bhi bahana mera ishq bhi bahana

ye latif istiare na samajh saka zamana

main nisar-e-dast-e-nazuk jo uThae nazishana

ki sanwar gain ye zulfen to sanwar gaya zamana

teri zindagi tabassum meri zindagi talatum

meri zindagi haqiqat teri zindagi fasana

teri zulf-e-KHam-ba-KHam ne nae silsile nikale

meri sina-chaakiyon se jo bana mizaj-e-shana

tera naz-e-kibriyai bhi maqam-e-ghaur mein hai

ki ghaTa diya hai sajdon ne waqar-e-astana

main darun-e-KHana aa kar bhi liye hun dagh-e-sajda

hai abhi meri jabin par asar-e-barun-e-KHana

kabhi rah main ne badli to zamin ka raqs badla

kabhi sans li Thahar kar to Thahar gaya zamana

(1037) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera Husn Bhi Bahana Mera Ishq Bhi Bahana In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Tera Husn Bhi Bahana Mera Ishq Bhi Bahana is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Tera Husn Bhi Bahana Mera Ishq Bhi Bahana for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Tera Husn Bhi Bahana Mera Ishq Bhi Bahana in PDF.