So Jaiye Huzur Ki Ab Raat Ho Gai

so jaiye huzur ki ab raat ho gai

jo baat hone wali thi wo baat ho gai

ab kahne sunne ke liye kuchh bhi nahin raha

bas itna kafi hai ki mulaqat ho gai

thoDi si der is mein hui to zarur hai

lekin qubul apni munajat ho gai

hum bij bo ke su-e-falak dekhte rahe

aur dekhte hi dekhte barsat ho gai

apnon mein haar jit ke mani hi aur hain

KHush hun bahut ki un se mujhe mat ho gai

(956) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

So Jaiye Huzur Ki Ab Raat Ho Gai In English By Famous Poet Jameel Usman. So Jaiye Huzur Ki Ab Raat Ho Gai is written by Jameel Usman. Read famous Poem So Jaiye Huzur Ki Ab Raat Ho Gai for youth and Student by Jameel Usman. Free Download So Jaiye Huzur Ki Ab Raat Ho Gai in PDF.