Jab Se Mere Bagh Mein Angur Ke Dane Lage

jab se mere bagh mein angur ke dane lage

mujh ko duniya mein hi jannat ke maze aane lage

mai-kashon ne hi nahin DhunDa mere ghar ka pata

shaiKH sahab bhi mujhe ab yaad farmane lage

ek surur-o-kaif ka aalam hai tari bin piye

pyale sade pani ke bhi mai ke paimane lage

jagmaga uTThe hain atraf-o-jawanib mein diye

sham-e-mahfil ki pazirai mein parwane lage

mah-ruKHon ki bazm mein shirkat nazar aane lagi

aur tasawwur mein dhanak ke rang lahrane lage

taeron ki chahchahahaT se hua yun dil gudaz

mere ham-mashrab mujhe naghmon pe uksane lage

hum pe ek mashur-kun si kaifiyat tari hui

aur hum is kaifiyat mein jhum kar gane lage

is tilism-e-rang-o-bu ke sehr se nikle hain jab

hum ko aksar din mein bhi tare nazar aane lage

(938) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se Mere Bagh Mein Angur Ke Dane Lage In English By Famous Poet Jameel Usman. Jab Se Mere Bagh Mein Angur Ke Dane Lage is written by Jameel Usman. Read famous Poem Jab Se Mere Bagh Mein Angur Ke Dane Lage for youth and Student by Jameel Usman. Free Download Jab Se Mere Bagh Mein Angur Ke Dane Lage in PDF.