Aankh Be-qabu Hai Duniya Ki Tarah

aankh be-qabu hai duniya ki tarah

dil hai pahlu mein tamanna ki tarah

koi aawaz koi gunj nahin

waqt chup-chap hai sahra ki tarah

tu hai ek phailti baDhti KHushbu

main hun ek shoala-e-tanha ki tarah

tu meri rah mein kyun hail hai

ek umDe hue dariya ki tarah

mujh ko malum nahin tha ai dost

tu bhi begana hai duniya ki tarah

dur ufuq-par hai shab pichhle-pahar

koi ubhra ruKH-e-zeba ki tarah

shahr mein chandni ban kar utra

chha gaya nashsha-e-sahba ki tarah

bas tere rang-e-haya ki manind

hu-ba-hu tere sarapa ki tarah

ab kahan paunga main naqsh-e-'jamil'

DhunDhta phirta hun dariya ki tarah

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Be-qabu Hai Duniya Ki Tarah In English By Famous Poet Jameel Yusuf. Aankh Be-qabu Hai Duniya Ki Tarah is written by Jameel Yusuf. Read famous Poem Aankh Be-qabu Hai Duniya Ki Tarah for youth and Student by Jameel Yusuf. Free Download Aankh Be-qabu Hai Duniya Ki Tarah in PDF.