Ab To Apne Jism Ka Saya Bhi Begana Hua

ab to apne jism ka saya bhi begana hua

main teri mahfil mein aa kar aur bhi tanha hua

waqf-e-dard-e-jaan hua mahw-e-gham-e-duniya hua

dil ajab shai hai kabhi qatra kabhi dariya hua

teri aahaT ke taaqub mein hun sadiyon se rawan

raston ke pech-o-KHam mein Thokaren khata hua

lazzat-e-didar ki ai saat-e-raKHshan Thahar

paDh raha hun main tere chehre pe kuchh likkha hua

ab to tere husn ki har anjuman mein dhum hai

jis ne mera haal dekha tera diwana hua

wo samay ruKHsat hue hamdam wo shamen kho gain

kin KHayalon ke jhamelon mein hai tu uljha hua

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab To Apne Jism Ka Saya Bhi Begana Hua In English By Famous Poet Jameel Yusuf. Ab To Apne Jism Ka Saya Bhi Begana Hua is written by Jameel Yusuf. Read famous Poem Ab To Apne Jism Ka Saya Bhi Begana Hua for youth and Student by Jameel Yusuf. Free Download Ab To Apne Jism Ka Saya Bhi Begana Hua in PDF.