BhiD Aisi Hai Ki Mujhko Rasta Milta Nahin

bhiD aisi hai ki mujh ko rasta milta nahin

gul koi khilta nahin shoala koi uThta nahin

ai mere shauq-e-talab tere junun ki KHair ho

tu ne kya had-e-nigah ka fasla dekha nahin

ai ghurur-e-husn main tere badan ka aks hun

mahw-e-hairat hun ki tu ne mujh ko pahchana nahin

ek pal mein ye rida-e-ab mein chhup jaengi

rang ki lahron ke pichhe bhagna achchha nahin

dil jahan le jae dil ke sath jaana chahiye

is se baDh kar aur koi rahnuma hota nahin

jis ke jalwaon ne azal se muztarib rakkha mujhe

wo to mere samne bhi aaj tak aaya nahin

(690) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BhiD Aisi Hai Ki Mujhko Rasta Milta Nahin In English By Famous Poet Jameel Yusuf. BhiD Aisi Hai Ki Mujhko Rasta Milta Nahin is written by Jameel Yusuf. Read famous Poem BhiD Aisi Hai Ki Mujhko Rasta Milta Nahin for youth and Student by Jameel Yusuf. Free Download BhiD Aisi Hai Ki Mujhko Rasta Milta Nahin in PDF.