Dhyan Ka Rahi Ruk Ruk Kar Pichhe Takta Hai

dhyan ka rahi ruk ruk kar pichhe takta hai

bite lamhe yaad aate hain dil rota hai

band dariche saf-basta gum-sum diwaren

shahar ki virani se mujh ko KHauf aata hai

jaane logon ki aawazen kya kahti hain

jaane har jaanib kyun gahra sannaTa hai

kahte hain aa aa ke mujh ko unTon wale

sahra mein bijli chamki hai meinh barsa hai

baDhte hi jate hain diwaron ke sae

dhup ka sundar jauban ab Dhalta jata hai

pahron baiTha un ki baaton ko sunta hun

kaghaz ki taswiron se ji KHush hota hai

hamdam aise log kahan se DhunDh ke laun

jin ki baaton se dil ka ghuncha khilta hai

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhyan Ka Rahi Ruk Ruk Kar Pichhe Takta Hai In English By Famous Poet Jameel Yusuf. Dhyan Ka Rahi Ruk Ruk Kar Pichhe Takta Hai is written by Jameel Yusuf. Read famous Poem Dhyan Ka Rahi Ruk Ruk Kar Pichhe Takta Hai for youth and Student by Jameel Yusuf. Free Download Dhyan Ka Rahi Ruk Ruk Kar Pichhe Takta Hai in PDF.