Ek-tarfa Be-KHudi Mein Gum Hua Rahta Hun Main

ek-tarfa be-KHudi mein gum hua rahta hun main

be-mahaba faslon ko napta rahta hun main

mere KHad-o-KHal ko pahchanna aasan nahin

raste ki gard mein akasr aTa rahta hun main

jaanta hun DhunDhta hun ek sarab-e-nur ko

phir bhi us ki khoj mein paiham laga rahta hun main

karwan-e-shauq jis ko zindagi kahte ho tum

is tag-o-dau ke jilau mein hi sada rahta hun main

hazrat-e-waiz tujhe mera pata kyunkar mile

jism ke kabe mein manind-e-KHuda rahta hun main

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek-tarfa Be-KHudi Mein Gum Hua Rahta Hun Main In English By Famous Poet Jameel Yusuf. Ek-tarfa Be-KHudi Mein Gum Hua Rahta Hun Main is written by Jameel Yusuf. Read famous Poem Ek-tarfa Be-KHudi Mein Gum Hua Rahta Hun Main for youth and Student by Jameel Yusuf. Free Download Ek-tarfa Be-KHudi Mein Gum Hua Rahta Hun Main in PDF.