Kaun Hai Kis Ka Giraftar Na Samjha Jae

kaun hai kis ka giraftar na samjha jae

yahi behtar hai ye asrar na samjha jae

main ne kab duniya mein aane ki tamanna ki thi

mujh ko duniya ka talabgar na samjha jae

sari duniya ko badalna koi aasan nahin

kisi diwane ko be-kar na samjha jae

us ko baatin se sarokar hai zahir se nahin

din ko raunaq-e-bazar na samjha jae

ek yahi baat to hai is mein samajhne wali

mujhe kafir use din-dar na samjha jae

teri duniya mein tere husn ka shaidai hun

ai KHuda mujh ko gunahgar na samjha jae

nau-e-insan ki baDai ka taqaza hai yahi

rang aur nasl ko mear na samjha jae

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaun Hai Kis Ka Giraftar Na Samjha Jae In English By Famous Poet Jameel Yusuf. Kaun Hai Kis Ka Giraftar Na Samjha Jae is written by Jameel Yusuf. Read famous Poem Kaun Hai Kis Ka Giraftar Na Samjha Jae for youth and Student by Jameel Yusuf. Free Download Kaun Hai Kis Ka Giraftar Na Samjha Jae in PDF.