Talluqat Ke ZaKHmon Ka Hun Sataya Hua

talluqat ke zaKHmon ka hun sataya hua

jo sham aai mera saya bhi paraya hua

miTega zehan se kab teri yaad ka afsun

hazar sadiyon se ye bojh hai uThaya hua

wo ek shaKHs abhi dil mein chhup ke baiTha hai

wo shaKHs jo kabhi apna kabhi paraya hua

har ek lamhe ki aahaT pe dil larazta hai

zamane bhar ko ho jaise gale lagaya hua

nai ruton ki hua ne ajib sazish ki

ki mauj-e-KHun mein hai har barg-e-gul nahaya hua

kisi ke sans ki aawaz tak nahin aati

sukut-e-marg ne pahra hai wo biThaya hua

har ek nazar mein koi ajnabi si aahaT hai

har ek dil mein koi KHauf hai samaya hua

wo tirgi hai ki aankhon mein ek kiran bhi nahin

wo KHamushi hai ki lamhon ne zahar khaya hua

main apne waqt ke zindan ka ek qaidi hun

nazar nazar hai fasilon ne sar uThaya hua

gurez-pa hai wo umr-e-aziz ki manind

hai ek umr se apna jise banaya hua

na koi yar na hamdam na koi hamrahi

tumhaari zulf ka saya to KHair saya hua

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talluqat Ke ZaKHmon Ka Hun Sataya Hua In English By Famous Poet Jameel Yusuf. Talluqat Ke ZaKHmon Ka Hun Sataya Hua is written by Jameel Yusuf. Read famous Poem Talluqat Ke ZaKHmon Ka Hun Sataya Hua for youth and Student by Jameel Yusuf. Free Download Talluqat Ke ZaKHmon Ka Hun Sataya Hua in PDF.