Tamannaon Ki Duniya Mein Qadam Dharne Nahin Deti

tamannaon ki duniya mein qadam dharne nahin deti

jo karna chahta hun zindagi karne nahin deti

koi surat nahin hai zindagi se bach nikalne ki

gham-o-alam ke maron ko bhi marne nahin deti

andhera lakh ho mujh ko sahar ki aas rahti hai

yahi wo raushni hai jo mujhe Darne nahin deti

koi mausam ho un zulfon ki KHushbu le hi aati hai

hawa-e-shauq dil ke zaKHm ko bharne nahin deti

KHuda ne mere andar kya KHabar kya chiz rakh di hai

jo samjhauta mujhe haalat se karne nahin deti

mujhe malum hai wada nibhana saKHt mushkil hai

meri kam-himmati inkar bhi karne nahin deti

guzarti rau badalti ja rahi hai ek ek shai ko

kisi shai se mujhe ulfat ka dam bharne nahin deti

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamannaon Ki Duniya Mein Qadam Dharne Nahin Deti In English By Famous Poet Jameel Yusuf. Tamannaon Ki Duniya Mein Qadam Dharne Nahin Deti is written by Jameel Yusuf. Read famous Poem Tamannaon Ki Duniya Mein Qadam Dharne Nahin Deti for youth and Student by Jameel Yusuf. Free Download Tamannaon Ki Duniya Mein Qadam Dharne Nahin Deti in PDF.