Teri Aankhen Tera Husn-e-jawan Tahrir Karte Hain

teri aankhen tera husn-e-jawan tahrir karte hain

zamin ki pastiyon mein aasman tahrir karte hain

koi mausam KHizan se aashna us ko nahin karta

hum apne KHun se jo gulsitan tahrir karte hain

zamane ki koi karwaT use sanwla nahin sakti

hum apni aanch se jo kahkashan tahrir karte hain

koi diwar us ka rasta kya rok sakti hai

hawa ki lauh par apna bayan tahrir karte hain

guzarte waqt ko aab-e-rawan ka nam dete hain

faraghat ko nashat-e-be-karan tahrir karte hain

KHayal-o-KHwab ko alfaz mein Dhaala nahin jata

jo karna chahte hain wo kahan tahrir karte hain

zamane ko wo apni dastan malum hoti hai

haqiqat mein hum apni dastan tahrir karte hain

(842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Aankhen Tera Husn-e-jawan Tahrir Karte Hain In English By Famous Poet Jameel Yusuf. Teri Aankhen Tera Husn-e-jawan Tahrir Karte Hain is written by Jameel Yusuf. Read famous Poem Teri Aankhen Tera Husn-e-jawan Tahrir Karte Hain for youth and Student by Jameel Yusuf. Free Download Teri Aankhen Tera Husn-e-jawan Tahrir Karte Hain in PDF.