Teri Talab Mein Aise Giraftar Ho Gae

teri talab mein aise giraftar ho gae

hum log KHud bhi raunaq-e-bazar ho gae

kya KHwab tha ki kuchh nahin Thahra nigah mein

kya aks tha ki naqsh-ba-diwar ho gae

hadd-e-nazar bichha tha teri did ka saman

jo raste the sahl wo dushwar ho gae

un ko bhi apne nam ki hurmat aziz thi

jo tera sath dene pe tayyar ho gae

biphra hua badan kisi qatil se kam na tha

hum bhi wufur-e-shauq mein talwar ho gae

go apne pas ek nazar ke siwa na tha

hum har but-e-hasin ke KHaridar ho gae

ye shahr zalzalon ke thapeDon se hil gaya

kya kya ajab mahal the ki mismar ho gae

KHwahish ki uljhanon pe koi bas na chal saka

dawe fusun-e-yar ke be-kar ho gae

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Talab Mein Aise Giraftar Ho Gae In English By Famous Poet Jameel Yusuf. Teri Talab Mein Aise Giraftar Ho Gae is written by Jameel Yusuf. Read famous Poem Teri Talab Mein Aise Giraftar Ho Gae for youth and Student by Jameel Yusuf. Free Download Teri Talab Mein Aise Giraftar Ho Gae in PDF.