Agli Gali Mein Rahta Hai Aur Milne Tak Nahin Aata Hai

agli gali mein rahta hai aur milne tak nahin aata hai

kahta hai takalluf kya karna hum tum mein to pyar ka nata hai

kahta hai ziyaada milne se wadon ki KHalish baDh jaegi

kuchh wade waqt pe bhi chhoDo dekho wo kya dikhlata hai

kahta hai tumhaara dosh na tha kuchh hum ko bhi apna hosh na tha

phir hansta hai phir rota hai phir chup ho kar rah jata hai

KHud us se kaha ghar aane ko aur us ke bina mar jaane ko

aur ab jo wo kuchh aawara hua ji rah rah kar ghabraata hai

ai bachcho ai hansne walo tariKH-e-mohabbat paDh Dalo

dil wale ke dil par qaid nahin har umr mein Thokar khata hai

(1085) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agli Gali Mein Rahta Hai Aur Milne Tak Nahin Aata Hai In English By Famous Poet Jameeluddin Aali. Agli Gali Mein Rahta Hai Aur Milne Tak Nahin Aata Hai is written by Jameeluddin Aali. Read famous Poem Agli Gali Mein Rahta Hai Aur Milne Tak Nahin Aata Hai for youth and Student by Jameeluddin Aali. Free Download Agli Gali Mein Rahta Hai Aur Milne Tak Nahin Aata Hai in PDF.