Aali Jis Ka Fann-e-suKHan Mein Ek Andaz Nirala Tha

'ali' jis ka fann-e-suKHan mein ek andaz nirala tha

naqd-e-suKHan mein zikr ye aaya dohe paDhne wala tha

jaane kyun logon ki nazren tujh tak pahunchen hum ne to

barson baad ghazal ki rau mein ek mazmun nikala tha

kya wo ghaTa tere ghar se uTThi kya wo tu ne bheji thi

bunden raushan raushan thin aur baadal kala kala tha

ajnabiyon se dhoke khana phir bhi samajh mein aata hai

is ke liye kya kahte ho wo shaKHs to dekha-bhaala tha

hum na mile aur jab bhi mile to donon ne iqrar kiya

han wo wada aisa tha jo pura hone wala tha

tapti dhupon mein bhi aa kar apni yaad dilate hain

chand-nagar ke 'insha'-sahib aale jin ka haala tha

(828) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aali Jis Ka Fann-e-suKHan Mein Ek Andaz Nirala Tha In English By Famous Poet Jameeluddin Aali. Aali Jis Ka Fann-e-suKHan Mein Ek Andaz Nirala Tha is written by Jameeluddin Aali. Read famous Poem Aali Jis Ka Fann-e-suKHan Mein Ek Andaz Nirala Tha for youth and Student by Jameeluddin Aali. Free Download Aali Jis Ka Fann-e-suKHan Mein Ek Andaz Nirala Tha in PDF.