Ek Ajib Rag Hai Ek Ajib Guftugu

ek ajib rag hai ek ajib guftugu

sat suron ki aag hai aaThwin sur ki justuju

bujhte hue mere KHayal jin mein hazar-ha sawal

phir se bhaDak ke ruh mein phail gae hain chaar-su

tira-shabi pe sabr tha so wo kisi ko bha gaya

aap hi aap chha gaya ek sahab-e-rang-o-bu

hansti hui gai hai subh pyar se aa rahi hai sham

teri shabih ban gai waqt ki gard hu-ba-hu

phir ye tamam silsila kya hai kidhar ko jaega

meri talash dar-ba-dar tera gurez ku-ba-ku

KHun-e-junun to jal gaya shauq kidhar nikal gaya

sust hain dil ki dhaDkanen tez hai nabz-e-arzu

tera mera qusur kya ye to hai jabr-e-irtiqa

bas wo jo rabt ho gaya aap hi pa gaya numu

main jo raha hun be-suKHan ye bhi hai ehtiram-e-fan

yani mujhe aziz thi apni ghazal ki aabru

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Ajib Rag Hai Ek Ajib Guftugu In English By Famous Poet Jameeluddin Aali. Ek Ajib Rag Hai Ek Ajib Guftugu is written by Jameeluddin Aali. Read famous Poem Ek Ajib Rag Hai Ek Ajib Guftugu for youth and Student by Jameeluddin Aali. Free Download Ek Ajib Rag Hai Ek Ajib Guftugu in PDF.