Tumhein Mujh Mein Kya Nazar Aa Gaya Jo Mera Ye Rup Bana Gae
tumhein mujh mein kya nazar aa gaya jo mera ye rup bana gae
wo tamam log jo ishq the wo mere wajud mein aa gae
na tere siwa koi likh sake na mere siwa koi paDh sake
ye huruf-e-be-waraq-o-sabaq hamein kya zaban sikha gae
na kar aaj hum se ye guftugu mujhe kyun hui teri justuju
are hum bhi ek KHayal the so tere bhi zehn mein aa gae
jo suna ki ghar tere jaenge tere sehan o bagh sajaenge
mere ashk uD ke hawa ke sath unhi baadalon mein sama gae
dil-e-shab mein subh ki dhaDkanen abhi ibtida-e-ghazal mein thin
ki wo aae aur tamam sher meri hi dhun mein suna gae
jo na aap us pe hue ayan ye rakhega hum ko bhi sar-giran
kai bar le ke shikayaten mere dost arz o sama gae
kai mahfilon mein to yun hua ki jab aae 'ali'-e-KHush-ada
jo na khul sake to chhupe rahe jo na ro sake to rula gae
(905) Peoples Rate This