Tere KHayal Ke Diwar-o-dar Banate Hain

tere KHayal ke diwar-o-dar banate hain

hum apne ghar mein bhi tera hi ghar banate hain

bajae yaum-e-malamat rakha hai jashn mera

mere bhi dost mujhe kis qadar banate hain

bikherte raho sahra mein bij ulfat ke

ki bij hi to ubhar kar shajar banate hain

bas ab hikayat-e-mazduri-e-wafa na bana

wo ghar unhen nahin milte jo ghar banate hain

tera bhi nam chhapa wajh-e-marg-e-ashiq mein

ye dekh be-KHabare yun KHabar banate hain

wo kya KHuda ki parastish karenge meri tarah

jo ek but bhi bahut soch kar banate hain

kaha ye kis ne ki hai qasr-e-ishq rahn-e-shabab

banane wale ise umr-bhar banate hain

tu aae to teri kari-gari ki laj rahe

hum aaj dasht mein rah kar bhi ghar banate hain

mili na fursat-e-araish-e-bayaban bhi

ki hum yahan bhi tere baam-o-dar banate hain

adu hawao karachi ke log haare nahin

jo ghar girao wo bar-e-digar banate hain

abu-dhabi mein hamesha nai ghazal 'ali'

ye log hi to tujhe mo'tabar banate hain

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere KHayal Ke Diwar-o-dar Banate Hain In English By Famous Poet Jameeluddin Aali. Tere KHayal Ke Diwar-o-dar Banate Hain is written by Jameeluddin Aali. Read famous Poem Tere KHayal Ke Diwar-o-dar Banate Hain for youth and Student by Jameeluddin Aali. Free Download Tere KHayal Ke Diwar-o-dar Banate Hain in PDF.