Ab Apne Des Ki Aab-o-hawa Hum Ko Nahin Bhati

ab apne des ki aab-o-hawa hum ko nahin bhati

ghulami ek zillat thi sarapa dard aazadi

qayaadat karne walon ko masihai ka dawa tha

kisi ne lekin ab tak qaum ki biDi nahin kaTi

abhi tak panw se chimTi hain zanjiren ghulami ki

din aa jata hai aazadi ka aazadi nahin aati

unhin aqwam ke rahm-o-karam par ab bhi jite hain

ghurur-e-hurriyat ne jin se hasil ki thi aazadi

baja-e-fikr-e-nau rajat-pasandi aam shewa hai

haqiqat mein musalman har jagah hai kushta-e-mazi

karachi mein muhajir aur inglistan mein kale

teri taqdir mein 'jami' likhi hai KHana-barbaadi

(894) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Apne Des Ki Aab-o-hawa Hum Ko Nahin Bhati In English By Famous Poet Jami Rudaulvi. Ab Apne Des Ki Aab-o-hawa Hum Ko Nahin Bhati is written by Jami Rudaulvi. Read famous Poem Ab Apne Des Ki Aab-o-hawa Hum Ko Nahin Bhati for youth and Student by Jami Rudaulvi. Free Download Ab Apne Des Ki Aab-o-hawa Hum Ko Nahin Bhati in PDF.