Aati Hai Zindagi Mein KHizan Bhi Bahaar Bhi

aati hai zindagi mein KHizan bhi bahaar bhi

sehn-e-chaman mein phul bhi hote hain KHar bhi

naraazgi na ho to mohabbat hai be-maza

hasti KHushi bhi gham bhi hai nafrat bhi pyar bhi

be-e'tinaiyon mein bhi hai chashni ka lutf

hota hai iltifat kabhi nagawar bhi

chhoDa na KHauf-e-hijr ne daman tamam raat

aaghosh-e-pur-sukun mein tha dil be-qarar bhi

arman ka KHun samaj ki talwar ne kiya

majbur maslahat se hua iKHtiyar bhi

mehnat ki saKHt dhup mein pipal ki chhanw mein

hai dasht-e-gham mein abr-e-karam ki phuwar bhi

har-chand be-daregh baha KHun-e-arzu

lekin hua hai daman-e-dil lala-zar bhi

ganjina-e-sifat hai us ki har ek baat

surat bhi guftugu bhi ada bhi shiar bhi

angur ke ye bagh lab-e-ju ye chahchahe

hoga yahin kahin pe hamara mazar bhi

'jami' pe kya banegi KHuda jaane hashr mein

jannat ki aarzu hai gunahon se pyar bhi

(622) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aati Hai Zindagi Mein KHizan Bhi Bahaar Bhi In English By Famous Poet Jami Rudaulvi. Aati Hai Zindagi Mein KHizan Bhi Bahaar Bhi is written by Jami Rudaulvi. Read famous Poem Aati Hai Zindagi Mein KHizan Bhi Bahaar Bhi for youth and Student by Jami Rudaulvi. Free Download Aati Hai Zindagi Mein KHizan Bhi Bahaar Bhi in PDF.