Rah-e-KHulus Mein Behtar Hai Sar Jhuka Rakhna

rah-e-KHulus mein behtar hai sar jhuka rakhna

wo sar-kashida agar hai to sar siwa rakhna

yahi wo soch hai jis ki talash thi mujh ko

ye baat apne KHayalon se ab juda rakhna

na qurb-e-zat hi hasil na zaKHm-e-ruswai

ajib lagta hai ab KHud se rabta rakhna

tamam shahr ko aatish-kada banana hai

dilon ki aag saliqe se ja-ba-ja rakhna

baDa ajib hai tahzib-e-irteqa ke liye

tamam umr kisi ek ko ham-nawa rakhna

kamal-e-hirs hai jazb-o-talab ki duniya mein

badan ko ruh ki aawaz se juda rakhna

buland kar ke zara hauslon ki diwaren

diya jala ke hawa ko charagh-pa rakhna

shikast-o-reKHt ki duniya mein zinda rahne ki

bikhar bikhar ke simaTne ka hausla rakhna

KHud apni zat pe tanqid ke muradif hai

kisi ke samne danista aaina rakhna

jise mili hai ye daulat wahi samajhta hai

ajib nemat-e-uzma hai dil dukha rakhna

ho jab bhi jaana kisi ke nigar-KHane mein

'nazar' KHayal zara KHadd-o-KHal ka rakhna

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-e-KHulus Mein Behtar Hai Sar Jhuka Rakhna In English By Famous Poet Jamil Nazar. Rah-e-KHulus Mein Behtar Hai Sar Jhuka Rakhna is written by Jamil Nazar. Read famous Poem Rah-e-KHulus Mein Behtar Hai Sar Jhuka Rakhna for youth and Student by Jamil Nazar. Free Download Rah-e-KHulus Mein Behtar Hai Sar Jhuka Rakhna in PDF.