Wo Meri Duniya Ka Malik Tha Magar Mera Na Tha

wo meri duniya ka malik tha magar mera na tha

main ne is andaz par pahle kabhi socha na tha

ek muddat tak raha KHush-fahmiyon mein mubtala

aaine ke ru-ba-ru jab tak mera chehra na tha

tohmaton ko ek aise ajnabi ki thi talash

jo kabhi ghar se nikal kar rah mein Thahra na tha

ho chuki thi shohraten ruswaiyon se ham-kanar

bhul jata main jise wo saneha aisa na tha

meri nazron mein hai KHaka wo bhi husn-e-dost ka

jis ko logon ne abhi tak zehn mein socha na tha

main uThun to rang laen tazkaron ke silsile

log itna to kahen ki aadmi achchha na tha

log is andaz mein dete hain duniya ki misal

main to jaise tajrabon ke daur se guzra na tha

ek naya ehsas dete hain wo ahl-e-sang ko

aabru ke sath rahna shahr mein achchha na tha

kya asar-andaz hota us pe afsana 'nazar'

lafz bhi mange hue mafhum bhi apna na tha

(694) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Meri Duniya Ka Malik Tha Magar Mera Na Tha In English By Famous Poet Jamil Nazar. Wo Meri Duniya Ka Malik Tha Magar Mera Na Tha is written by Jamil Nazar. Read famous Poem Wo Meri Duniya Ka Malik Tha Magar Mera Na Tha for youth and Student by Jamil Nazar. Free Download Wo Meri Duniya Ka Malik Tha Magar Mera Na Tha in PDF.