Sadiyon Se Zamane Ka Ye Andaz Raha Hai

sadiyon se zamane ka ye andaz raha hai

saya bhi juda ho gaya jab waqt paDa hai

bhule se kisi aur ka rasta nahin chhute

apni to har ek shaKHs se raftar juda hai

us rind-e-bala-nosh ko sine se laga lo

mai-KHane ka zahid se pata puchh raha hai

manjdhaar se Takrae hain himmat nahin haare

TuTi hui patwar pe ye zoam raha hai

ghar apna kisi aur ki nazron se na dekho

har tarah se ujDa hai magar phir bhi saja hai

mai-kash kisi tafriq ke qael hi nahin hain

waiz ke liye bhi dar-e-mai-KHana khula hai

ye daur bhi kya daur hai is daur mein yaro

sach bolne walon ka hi anjam bura hai

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sadiyon Se Zamane Ka Ye Andaz Raha Hai In English By Famous Poet Jamill Murassapuri. Sadiyon Se Zamane Ka Ye Andaz Raha Hai is written by Jamill Murassapuri. Read famous Poem Sadiyon Se Zamane Ka Ye Andaz Raha Hai for youth and Student by Jamill Murassapuri. Free Download Sadiyon Se Zamane Ka Ye Andaz Raha Hai in PDF.