Aasuda Haali Ke Jatan

zat ki aasudgi ke sab jatan karta rahun

taeron ke sang uD kar

aasman ki jhilmilati nilgun si god mein iKHlas ki garmi

mohabbat ki tapish ko

har ghaDi main DhunDhta phirta rahun

ya kabhi apne KHayalon ki rida oDhe

main dharti ke khule sine pe sar rakh kar

aur apni banhen us ke gard lipTane ki koshish mein

jahan bhar ke gile-shikwe ghane baalon mein

aankhon se chhine moti samajh ke Dalta jaya karun

ya kabhi main na-rasai ke samundar mein

kisi chhoTi si machhli ki tarah

apne tahaffuz aur apni zindagani ko

KHushi ke KHub-surat aasmani sat rangon ke

kisi nadida sanche mein

badal dene ka aisa makr-o-fan karta rahun

zat ki aasudgi ke sab jatan karta rahun

(764) Peoples Rate This

Jamshed Afaq's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Aasuda Haali Ke Jatan In English By Famous Poet Jamshed Afaq. Aasuda Haali Ke Jatan is written by Jamshed Afaq. Read famous Poem Aasuda Haali Ke Jatan for youth and Student by Jamshed Afaq. Free Download Aasuda Haali Ke Jatan in PDF.