Jab Jaan Pe Lab-e-jaanan Ki Mahak Ek Barish Manzar Ho Jae

jab jaan pe lab-e-jaanan ki mahak ek barish manzar ho jae

hum hath baDhaen aur is mein mahtab gul-e-tar ho jae

kab dil ka laDakpan jaega har waqt yahi hai zid us ki

jo mange usi pal mil jae jo soche wahin par ho jae

ek aalam-e-jaan wo hota hai taKHsis nahin jis mein koi

is waqt hamari banhon mein jo aae wo dilbar ho jae

aashob-e-mohabbat ka aansu rakhta hai talawwun fitrat mein

aankhon mein rahe to qatra hai Tapke to samundar ho jae

jitna bhi sameTen aankhon mein rahta hi nahin kuchh yaad hamein

yarab wo tilism-e-ariz-o-lab ek roz to azbar ho jae

'jamshed' mata-e-husn jahan sab ahl-e-nazar ka hissa hai

jo chahe qalandar ho jae jo chahe sikandar ho jae

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Jaan Pe Lab-e-jaanan Ki Mahak Ek Barish Manzar Ho Jae In English By Famous Poet Jamshed Masroor. Jab Jaan Pe Lab-e-jaanan Ki Mahak Ek Barish Manzar Ho Jae is written by Jamshed Masroor. Read famous Poem Jab Jaan Pe Lab-e-jaanan Ki Mahak Ek Barish Manzar Ho Jae for youth and Student by Jamshed Masroor. Free Download Jab Jaan Pe Lab-e-jaanan Ki Mahak Ek Barish Manzar Ho Jae in PDF.