Shauq Ke Shahr-e-tamanna Ke Thikane Guzre

shauq ke shahr-e-tamanna ke Thikane guzre

raat phir zehn se kuchh KHwab purane guzre

chand jab jhil mein utra to manazir ki tarah

mujh ko chhukar tere bazu tere shane guzre

jaane kis shaKHs ke bare mein pareshan ho tum

ab hamein KHud ko bhulate bhi zamane guzre

hum to har moD bichha aae the daman apna

jaane kis rah bahaaron ke KHazane guzre

bujhne lagta hai kisi shama ke manind wajud

jab teri yaad hawaon ke bahane guzre

manzar-e-shauq wahi hai to safar kaisa tha

hum guzar aae ki 'jamshed' zamane guzre

(727) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shauq Ke Shahr-e-tamanna Ke Thikane Guzre In English By Famous Poet Jamshed Masroor. Shauq Ke Shahr-e-tamanna Ke Thikane Guzre is written by Jamshed Masroor. Read famous Poem Shauq Ke Shahr-e-tamanna Ke Thikane Guzre for youth and Student by Jamshed Masroor. Free Download Shauq Ke Shahr-e-tamanna Ke Thikane Guzre in PDF.