Samand-e-KHwab Wahan ChhoD Kar Rawana Hua

samand-e-KHwab wahan chhoD kar rawana hua

jahan suragh-e-safar koi naqsh-e-pa na hua

ajib aag laga kar koi rawana hua

mere makan ko jalte hue zamana hua

main tha kahan ka musawwir ki pujti duniya

bahut hua to mera ghar nigar-KHana hua

ugao dard ki faslen ki zindagi jage

lahu ki fasl ugate hue zamana hua

main aaina hun har ek sahib-e-nazar ke liye

magar KHud apne hi chehre se aashna na hua

bikhar gai thi sar-e-rah zindagi lekin

qadam ruke to mera farz taziyana hua

(699) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samand-e-KHwab Wahan ChhoD Kar Rawana Hua In English By Famous Poet Jamuna Parsad Rahi. Samand-e-KHwab Wahan ChhoD Kar Rawana Hua is written by Jamuna Parsad Rahi. Read famous Poem Samand-e-KHwab Wahan ChhoD Kar Rawana Hua for youth and Student by Jamuna Parsad Rahi. Free Download Samand-e-KHwab Wahan ChhoD Kar Rawana Hua in PDF.