Parinde LauT Ke Jab Ghar Ko Jaane Lagte Hain

parinde lauT ke jab ghar ko jaane lagte hain

hamein bhi yaad dar-o-baam aane lagte hain

fasil-e-sarhad-e-mazi dhaDakne lagti hai

jo KHwab nind ka dar khaTkhaTane lagte hain

hubab dhup ki barish mein phuTte bante

sabaat-e-zat ka matlab batane lagte hain

sar-e-mahaz tere aate hi harif mere

ye mere hath mujhe aazmane lagte hain

tere KHayal ki mahfil jo sajne lagti hai

qarib-e-haal guzishta zamane lagte hain

jo aasman ko zid hai to kam nahin hum bhi

ki baad-e-barq nae ghar banane lagte hain

jo sunte hain ki tere shahr mein dashra hai

hum apne ghar mein diwali sajaane lagte hain

suni-sunai si har ek kahani lagti hai

nae hain lafz maani purane lagte hain

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parinde LauT Ke Jab Ghar Ko Jaane Lagte Hain In English By Famous Poet Jamuna Parsad Rahi. Parinde LauT Ke Jab Ghar Ko Jaane Lagte Hain is written by Jamuna Parsad Rahi. Read famous Poem Parinde LauT Ke Jab Ghar Ko Jaane Lagte Hain for youth and Student by Jamuna Parsad Rahi. Free Download Parinde LauT Ke Jab Ghar Ko Jaane Lagte Hain in PDF.