Duniya-e-dani Hai Matlab Ki Sab Rishte Nate ToD Diye

duniya-e-dani hai matlab ki sab rishte nate toD diye

ab KHud pe bharosa karna hai jitne the sahaare chhoD diye

ab dil se dil ka milna kya bas hath milana kafi hai

derina taur tariqon ne chalte chalte dam toD diye

duniya-e-mohabbat ke andar nafrat ka andhera jin se baDhe

us daur-e-taraqqi ke aise jitne hain uTha kar toD diye

jo aandhiyon se Takra bhi saken zulmat ka fusun bhi toD saken

taqon mein saja kar pahle hi to kuchh aise rakh chhoD diye

kya milna-julna aapas mein ye sab kahne ki baaten hain

hum dekh chuke is daur ne to dil toD diye sar joD diye

jab zulm ke tufan umDe hain jab yas ke baadal chhae hain

duniya ko diya hai azm-e-jawan tariKH ko hum ne moD diye

ai daur-e-siyasat ahd-e-zabun 'jarrar' se ye ummid na rakh

us dar pe jhuka di peshani hath us ke aage joD diye

(975) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya-e-dani Hai Matlab Ki Sab Rishte Nate ToD Diye In English By Famous Poet Jarrar Chhaulisi. Duniya-e-dani Hai Matlab Ki Sab Rishte Nate ToD Diye is written by Jarrar Chhaulisi. Read famous Poem Duniya-e-dani Hai Matlab Ki Sab Rishte Nate ToD Diye for youth and Student by Jarrar Chhaulisi. Free Download Duniya-e-dani Hai Matlab Ki Sab Rishte Nate ToD Diye in PDF.