Aib Bhi Tere Hunar Lagte Hain

aib bhi tere hunar lagte hain

teri furqat ka samar lagte hain

kal jo qadmon mein bichhe jate the

ab wo sae bhi shajar lagte hain

wo uDe phirte hain hairat kya hai

chiyunTiyon ke bhi to par lagte hain

pi gain kitne samundar sadiyan

ab bhi dariya hi amar lagte hain

ek suraj hi to gahnaya hai

log kyun KHak-basar lagte hain

jal raha hai koi gulshan shayad

ashk aankhon mein sharar lagte hain

jam-e-jam the jo mere dost kabhi

hadsa hai ki KHabar lagte hain

hum jahan rahte hain wo dasht wo ghar

dasht lagte hain na ghar lagte hain

bais-e-ranj the ilzam kabhi

ab to ye raKHt-e-safar lagte hain

raste band hain sare 'jauhar'

phir bhi wo rahguzar lagte hain

(649) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aib Bhi Tere Hunar Lagte Hain In English By Famous Poet Jauhar Meer. Aib Bhi Tere Hunar Lagte Hain is written by Jauhar Meer. Read famous Poem Aib Bhi Tere Hunar Lagte Hain for youth and Student by Jauhar Meer. Free Download Aib Bhi Tere Hunar Lagte Hain in PDF.