BaDh Gai Wahshat Bahaar-e-fitna-saman Dekh Kar

baDh gai wahshat bahaar-e-fitna-saman dekh kar

hans raha hun KHud-baKHud chaak-e-gareban dekh kar

kaun tum ko rokta hai han magar kahta ye hun

dil mein nashtar do hujum-e-dagh-e-arman dekh kar

kya kahun chhiTke hue baalon ne kya Dhaya ghazab

dil pareshan ho gaya zulf-e-pareshan dekh kar

raat-bhar shabnam hi kya roti rahi gulzar mein

ro diye hum bhi gulon ka chaak daman dekh kar

do tum itna gham ki aasani se jitna uTh sake

aazmao taqat-e-bimar-e-hijran dekh kar

(645) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDh Gai Wahshat Bahaar-e-fitna-saman Dekh Kar In English By Famous Poet Jauhar Nizami. BaDh Gai Wahshat Bahaar-e-fitna-saman Dekh Kar is written by Jauhar Nizami. Read famous Poem BaDh Gai Wahshat Bahaar-e-fitna-saman Dekh Kar for youth and Student by Jauhar Nizami. Free Download BaDh Gai Wahshat Bahaar-e-fitna-saman Dekh Kar in PDF.