Be-KHud Mujhe Ai Jalwa-e-jaanana Bana De

be-KHud mujhe ai jalwa-e-jaanana bana de

duniya meri hairat ko tamasha na bana de

ai ishq ab ehsas se begana bana de

warna kahin gham-e-dil ko khilauna na bana de

jis bazm mein pahunchun main banun bazm ka hasil

itna to teri chashm-e-karimana bana de

aaya hun main bhaTka hua sahra-e-junun se

ai aql kahin tu bhi na diwana bana de

mahfil meri aankhon mein tujhe DhunD rahi hai

tu mujh ko kahin anjuman-ara na bana de

bad-baKHt hun jate hue Darta hun chaman mein

qismat kahin har phul ko kanTa na bana de

'jauhar' pe sitam tark-e-mohabbat ki hai tamhid

ye jaur tumhein aur bhi pyara na bana de

har gam pe kuchh phul chune jate ho 'jauhar'

ye shauq kahin bagh ko sahra na bana de

(666) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-KHud Mujhe Ai Jalwa-e-jaanana Bana De In English By Famous Poet Jauhar Nizami. Be-KHud Mujhe Ai Jalwa-e-jaanana Bana De is written by Jauhar Nizami. Read famous Poem Be-KHud Mujhe Ai Jalwa-e-jaanana Bana De for youth and Student by Jauhar Nizami. Free Download Be-KHud Mujhe Ai Jalwa-e-jaanana Bana De in PDF.