Haqiqaton Se Hai Duniya Ko Ehtiraaz Bahut

haqiqaton se hai duniya ko ehtiraaz bahut

ki hai mizaj-e-zamana fasana-saz bahut

tera ghurur-e-ibaadat tujhe na le Dube

suna hai paDhta tha iblis bhi namaz bahut

koi bhi fitrat-e-yazdan ka rakh saka na bharam

jo na-saza the wo kahlae pak-baz bahut

ye kah rahe the kal aawargan-e-kucha-e-yar

adaen aaj bhi us ki hain dil-nawaz bahut

unhen shuur-e-mohabbat nahin KHuda ki qasam

jo log hain teri mahfil mein sarfaraaz bahut

meri KHushi ka zamana hawa ka jhonka tha

mere ghamon ki rahi zindagi daraaz bahut

ye husn-o-ishq ka jauhar hai aur kuchh bhi nahin

wo KHud-pasand bahut hain main be-niyaz bahut

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haqiqaton Se Hai Duniya Ko Ehtiraaz Bahut In English By Famous Poet Jauhar Nizami. Haqiqaton Se Hai Duniya Ko Ehtiraaz Bahut is written by Jauhar Nizami. Read famous Poem Haqiqaton Se Hai Duniya Ko Ehtiraaz Bahut for youth and Student by Jauhar Nizami. Free Download Haqiqaton Se Hai Duniya Ko Ehtiraaz Bahut in PDF.