Band Bahar Se Meri Zat Ka Dar Hai Mujh Mein

band bahar se meri zat ka dar hai mujh mein

main nahin KHud mein ye ek aam KHabar hai mujh mein

ek ajab aamad-o-shud hai ki na mazi hai na haal

'jaun' barpa kai naslon ka safar hai mujh mein

hai meri umr jo hairan tamashai hai

aur ek lamha hai jo zer-o-zabar hai mujh mein

kya tarasta hun ki bahar ke kisi kaam aae

wo ek amboh ki bas KHak-basar hai mujh mein

Dubne walon ke dariya mujhe payab mile

us mein ab Dub raha hun jo bhanwar hai mujh mein

dar-o-diwar to bahar ke hain Dhane wale

chahe rahta nahin main par mera ghar hai mujh mein

main jo paikar mein andar ki hun be-tegh-o-zirah

aaKHirash kaun hai jo sina-sipar hai mujh mein

marka garm hai be-taur sa koi har-dam

na koi tegh salamat na sipar hai mujh mein

zaKHm-ha-zaKHm hun aur koi nahin KHun ka nishan

kaun hai wo jo mere KHun mein tar hai mujh mein

(2276) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Band Bahar Se Meri Zat Ka Dar Hai Mujh Mein In English By Famous Poet Jaun Eliya. Band Bahar Se Meri Zat Ka Dar Hai Mujh Mein is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Band Bahar Se Meri Zat Ka Dar Hai Mujh Mein for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Band Bahar Se Meri Zat Ka Dar Hai Mujh Mein in PDF.