Ek ZaKHm Bhi Yaran-e-bismil Nahin Aane Ka

ek zaKHm bhi yaran-e-bismil nahin aane ka

maqtal mein paDe rahiye qatil nahin aane ka

ab kuch karo yaro sahra se ki sunte hain

sahra mein ab aainda mahmil nahin aane ka

waiz ko KHarabe mein ek dawat-e-haq di thi

main jaan raha tha wo jahil nahin aane ka

buniyaad-e-jahan pahle jo thi wahi ab bhi hai

yun hashr to yaran-e-yak-dil nahin aane ka

but hai ki KHuda hai wo mana hai na manunga

us shoKH se jab tak main KHud mil nahin aane ka

gar dil ki ye mahfil hai KHarcha bhi ho phir dil ka

bahar se to saman-e-mahfil nahin aane ka

wo naf pyale se sarmast kare warna

ho ke main kabhi us ka qail nahin aane ka

(1766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek ZaKHm Bhi Yaran-e-bismil Nahin Aane Ka In English By Famous Poet Jaun Eliya. Ek ZaKHm Bhi Yaran-e-bismil Nahin Aane Ka is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Ek ZaKHm Bhi Yaran-e-bismil Nahin Aane Ka for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Ek ZaKHm Bhi Yaran-e-bismil Nahin Aane Ka in PDF.